maiñ ne kab barq-e-tapāñ mauj-e-balā māñgī thī
gungunātī huī sāvan kī ghaTā māñgī thī
dasht-o-sahrā se guzartī huī tanhā.ī ne
rāste bhar ke liye us kī sadā māñgī thī
vo thā dushman mirā haarā to bahut zaḳhmī thā
maiñ ne hī us ke liye shāḳh-e-hinā māñgī thī
sā.ebāñ dhuup kā kyuuñ sar pe mire taan diyā
ai ḳhudā maiñ ne to bādal kī ridā māñgī thī
shāḳh se TūTte pattoñ kī tarah maiñ ne bhī
mausam-e-gul tire aane kī duā māñgī thī
merī uryānī ko kaafī thī tirī parchhā.īñ
maiñ ne kab chāñd-sitāroñ kī qabā māñgī thī
shahr-e-dillī se hameñ aur to kyā lenā thā
apnī sāñsoñ ke liye taaza havā māñgī thī