Imran Saghar

kab kaha maine mujhe sara zamana chahiye

Imran Saghar

kab kahā maiñ ne mujhe saarā zamānā chāhiye
sirf mujh ko aap ke dil meñ Thikānā chāhiye
aql kahtī hai ki us ko bhuul jaanā chāhiye
dil ye kahtā hai use apnā banānā chāhiye
jo hamāre ba.ad aa.eñ kam se kam bhaTkeñ na vo
kū-e-fan meñ ik diyā aisā jalānā chāhiye
tā-had-e-imkān ham ne hī manāyā hai tumheñ
ham kabhī rūTheñ to tum ko bhī manānā chāhiye
apnī ḳhātir chhoḌiye auroñ kī ḳhātir hī sahī
kam se kam mahfil meñ tum ko muskurānā chāhiye
raah takte takte us kī ek arsa ho gayā
jaane vaale ko to ab tak lauT aanā chāhiye
sonā chāñdī khā ke 'sāġhar' zinda rah sakte nahīñ
zinda rahne ke liye to āb-o-dānā chāhiye
Top Urdushayar.com