ka.ī koThe chaḌhegā vo ka.ī zīnoñ se utregā
badan kī aag le kar shab ga.e phir ghar ko lauTegā
guzartī shab ke hoñToñ par koī be-sāḳhta bosa
phir is ke baad to sūraj baḌī tezī se chamkegā
hamārī bastiyoñ par duur tak umDā huā bādal
havā kā ruḳh agar badlā to sahrāoñ pe barsegā
ġhazab kī dhaar thī ik sā.ebāñ sābit na rah paayā
hameñ ye zom thā bārish meñ apnā sar na bhīgegā
maiñ us mahfil kī raushan sā.atoñ ko chhoḌ kar gum huuñ
ab itnī raat ko darvāza apnā kaun kholegā
mire chāroñ taraf phailī hai harf-o-saut kī duniyā
tumhārā is tarah milnā kahānī ban ke phailegā
purāne log dariyāoñ meñ nekī Daal aate the
hamāre daur kā insān nekī kar ke chīḳhegā