Imran Saghar

main apne haal-e-zar ka aaina-dar hun

Imran Saghar

maiñ apne hāl-e-zār kā ā.īna-dār huuñ
jaise kisī ġharīb kā ujḌā mazār huuñ
kyuuñ tanz aap karte haiñ mere gunāh par
ye maiñ ne kab kahā hai ki parhez-gār huuñ
yārab mirī tarah se koī aur bhī hai kyā
yā sirf ek maiñ hī yahāñ sañgsār huuñ
jo dil kī baat thī vahī lafzoñ meñ Dhaal dī
duniyā samajh rahī hai ki taḳhlīq-kār huuñ
sochā thā tujh ko pā ke milegā mujhe qarār
tū mil gayā to aur bhī maiñ be-qarār huuñ
nāz-o-ni.am se paal ke jis ko javāñ kiyā
afsos aaj maiñ usī beTe pe baar huuñ
Top Urdushayar.com