maiñ apnī haisiyat se kuchh ziyāda le ke aayā huuñ
maiñ qatra huuñ magar hamrāh dariyā le ke aayā huuñ
mujhe bhī kuchh attār kar de ujālā bāñTne vaale
tirī ḳhidmat meñ tamhīd-e-tamannā le ke aayā huuñ
tumhārī aañkh ke raste tumhāre dil meñ utrūñgā
maiñ azm-o-hausla puḳhta irāda le ke aayā huuñ
ajal ne kaam apnā kar diyā rishvat nahīñ khaa.ī
maiñ kaafī der tak chīḳhā ki paisa le ke aayā huuñ
chale aao ki pahle kī tarah mātam kareñ mil kar
maiñ apne dil ke armānoñ kā lāsha le ke aayā huuñ
mujhe har haal meñ tārīkiyoñ kā sar kuchalnā hai
hathelī par ugā kar chāñd taarā le ke aayā huuñ
mirī tahrīr se 'sāġhar' abhī tak ḳhuuñ Tapaktā hai
maiñ in kāġhaz ke TukḌoñ meñ kaleja le ke aayā huuñ