Imran Saghar

pareshan hun tera chehra bhulaya bhi nahin jata

Imran Saghar

pareshāñ huuñ tirā chehra bhulāyā bhī nahīñ jaatā
kisī se hāl-e-dil apnā sunāyā bhī nahīñ jaatā
vo aa jaa.e to ye bhī kah nahīñ saktā Thahar jaao
agar vo jā rahā ho to bulāyā bhī nahīñ jaatā
zabāñ ḳhāmosh rahtī hai par āñkheñ bol detī haiñ
in āñkhoñ se to rāz-e-dil chhupāyā bhī nahīñ jaatā
sabhī 'imrran' kī sūrat nahīñ hote haiñ duniyā meñ
har ik insān ko dil meñ basāyā bhī nahīñ jaatā
koī tāqat mujhe marne nahīñ detī hai ai 'sāgar'
maiñ marnā chāhtā huuñ zahr khāyā bhī nahīñ jaatā
Top Urdushayar.com