Imran Saghar

wo sham Dhale tera milna wo tera hansana yaad nahin

Imran Saghar

vo shaam Dhale terā milnā vo terā hañsānā yaad nahīñ

jo terī rifāqat meñ guzrā ham ko vo zamānā yaad nahīñ

manzil hai kahāñ kuchh yaad nahīñ kis samt hai jaanā yaad nahīñ

ab terā pata ham kyā pūchheñ ḳhud apnā Thikānā yaad nahīñ

kyā tujh se bahāna koī kareñ ab koī bahānā yaad nahīñ

ham aa to ga.e mahfil meñ tirī par der se aanā yaad nahīñ

ai ahl-e-zamāna zid na karo vo daur purānā yaad nahīñ

ab un kahānī kyā kahiye ḳhud apnā fasāna yaad nahīñ

vo chāñdnī-shab phūloñ mahak vo ThanDī havāoñ ke jhoñke

itnī jaldī bhuul gayā mausam vo suhānā yaad nahīñ

vo raat vo bārish tūfānī us raat manzar yaad to kar

vo ik duuje ko mīThī Dish kyā tum ko khilānā yaad nahīñ

ilzām-tarāshī to 'sāġhar' duniyā purānā sheva hai

yūsuf pe zamāne tujh ko kyā uñglī uThānā yaad nahīñ

Top Urdushayar.com