nazar ke paas rah kar bhī pahuñch se duur ho jaanā
mohabbat meñ ise kahte haiñ ham majbūr ho jaanā
ḳhushā ai dil mudāvā un ke zaḳhmoñ kā nahīñ varna
kahāñ har zaḳhm kī qismat meñ hai nāsūr ho jaanā
baḌhānā is tarah se be-qarārī aur bhī dil kī
jhalak ushshāq ko dikhlā ke phir mastūr ho jaanā
mohabbat kā hamārā dā.era bas ittibā.a tak hai
hameñ zebā nahīñ hai sarmad-o-mansūr ho jaanā
nazar chhalke na chhalke munhasir hai zarf par lekin
hai pahlī shart dil kā dard se māmūr ho jaanā
nazar ko tāb-e-nazzāra rahī hai tere jalvoñ kī
ki lāzim to nahīñ har jalva-gah kā tuur ho jaanā
tujhe pā lene kā ehsās is ko kahte haiñ shāyad
tire aariz ko chhū kar zulf kā maġhrūr ho jaanā
hameñ kyā raas aa.e bāda-o-sāġhar ki apnā to
nigāhoñ pe hai un kī munhasir maḳhmūr ho jaanā
libās-e-ḳhāk hī se jab mirī saarī fazīlat hai
to kyūñ-kar zeb hai mujh ko bhalā phir nuur ho jaanā