sab bāteñ lā-hāsil Thahrīñ saare zikr fuzūl ga.e
yaad rahā ik naam tumhārā baaqī sab kuchh bhuul ga.e
maiñ ne terā naam miTā kar terā chehra kyā bhūlā
biich samundar kashtī TuuTī hāthoñ se mastūl ga.e
tere saath tire raste meñ hañste-bolte sāthī the
mere saath mire raste meñ kāñTe aur babūl ga.e
shaam parinde lauT aa.e to ham tirī khoj meñ chal nikle
phir jañgal meñ raat huī aur ghar kā rasta bhuul ga.e
bahs-bharī mulāqāt ke ba.ad vo āḳhir bastī chhoḌ gayā
sab tāvīleñ ḳhaak huiiñ mire saare lafz fuzūl ga.e
havā ko kyā ma.alūm ho 'az.har' havā ke ek hī jhoñke se
kitnī shāḳheñ TuuT ga.iiñ aur kitne patte jhuul ga.e