apnī nākām tamannāoñ kā mātam na karo
tham gayā daur-e-mai-e-nāb to kuchh ġham na karo
aur bhī kitne tarīqe haiñ bayān-e-ġham ke
muskurātī huī āñkhoñ ko to pur-nam na karo
haañ ye shamshīr-e-havādis ho to kuchh baat bhī hai
gardaneñ tauq-e-ġhulāmī ke liye ḳham na karo
tum to ho riñd tumheñ mahfil-e-jam se kyā kaam
bazm-e-jam ho ga.ī barham to koī ġham na karo
bāda-e-kohna Dhale sāġhar-e-nau meñ 'fitrat'
zauq-e-fariyād ko āzurda-e-mātam na karo