Manzar Lakhnavi

sham-o-gul ne saj to di mahfil teri tere baghair

Manzar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

-1965
sham-o-gul ne saj to dī mahfil tirī tere baġhair
vo rahī apnī jagah jo thī kamī tere baġhair
āmad-o-raft-e-nafas dushvār thī tere baġhair
ek nashtar sā chubhā jab saañs lī tere baġhair
ho ga.iiñ thiiñ sab bhalī bāteñ burī tere baġhair
haañ magar achchhī huī to shā.irī tere baġhair
haa.e dil jis kī umañgeñ thiiñ bahāreñ baaġh kī
vo mirī jannat jahannam ban ga.ī tere baġhair
thā bahut mumkin ki bach jaatī ġham-e-duniyā se jaan
sach to ye hai ham ne koshish bhī na kī tere baġhair
mujh ko rone se mile fursat to phir DhūñDūñ use
hañs rahā hai kaun qismat kā dhanī tere baġhair
jaane vaale jā ḳhudā hāfiz magar ye soch le
kuchh se kuchh ho jā.egī dīvāngī tere baġhair
tere dīvāne bhī puuje jā.eñge ik din yuuñ hī
ho rahī hai jaise terī bandagī tere baġhair
terā 'manzar' jo kabhī thā andalīb-e-ḳhush-navā
kho gayā duniyā se yuuñ chup saadh lī tere baġhair
Top Urdushayar.com