shab-e-hijr yuuñ dil ko bahlā rahe haiñ
ki din bhar kī biitī ko dohrā rahe haiñ
mire dil ke TukḌe kiye jā rahe haiñ
mohabbat kī tashrīh farmā rahe haiñ
mirā dard jā hī nahīñ saktā tauba
ḳhudā.ī ke da.ave kiye jā rahe haiñ
hañsī aane kī baat hai hañs rahā huuñ
mujhe log dīvāna farmā rahe haiñ
ajab shai hai soz-o-gudāz-e-mohabbat
ki dil jalne meñ bhī maze aa rahe haiñ
usī bevafā paas phir kuchh umīdeñ
liye jā rahī haiñ chale jā rahe haiñ
zideñ tauba tauba haTeñ allāh allāh
hamīñ haiñ jo is dil ko bahlā rahe haiñ
mirī raat kyuuñ kar kaTegī ilāhī
mujhe din ko taare nazar aa rahe haiñ
na āġhāz ulfat kā achchhā thā 'manzar'
na anjām achchhe nazar aa rahe haiñ