taġhāful aur karam donoñ barābar kaam karte the
jigar ke zaḳhm bharte the to dil ke daaġh ubharte the
ḳhudā jaane hameñ kyā thā ki phir bhī un pe marte the
jo din bhar meñ hazāroñ va.ade karte the mukarte the
na pūchho un kī tasvīr-e-ḳhyālī kī sajāvaT ko
udhar dil rañg detā thā idhar ham rañg bharte the
mohabbat kā samundar us kī maujeñ ai ma.āz-allāh
dil itnā Dūbtā jaatā thā jitnā ham ubharte the
ajab kuchh zindagānī ho ga.ī thī hijr meñ apnī
na hañste the na rote the na jiite the na marte the
shahīdān-e-vafā kī manzileñ to ye are to ye
vo rāheñ band ho jātīñ thiiñ jin par se guzarte the
na pūchho us kī bazm-e-nāz kī kaifiyyateñ 'manzar'
hazāroñ baar jiite the hazāroñ baar marte the