Akhtar Hashmi

main tere lutf-o-karam ka jab se ras pine laga

Akhtar Hashmi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1972
maiñ tire lutf-o-karam kā jab se ras piine lagā
bas tabhī se khul ke apnī zindagī jiine lagā
ai bulandī chāhne vaale bhaTak mat aa udhar
mere shānoñ ke sahāre arsh tak ziine lagā
ho ḳhushī koī bhī jā kar paḌ ga.ī tere gale
ġham ho koī bhī vo aa kar bas mire siine lagā
huuk kitnī soz kitnā Tiis kitnī dil meñ hai
ai matā-e-zaḳhm tū ab yuuñ na taḳhmīne lagā
jhuriyāñ chehre kī 'aḳhtar' ye dikhā.eñge tujhe
umr jab Dhalne lage ghar meñ na ā.īne lagā
Top Urdushayar.com