kaise samjhegā sadaf kā vo guhar se rishta
jo samajh paa.e na āñkhoñ kā nazar se rishta
mo'atabar sar hī banā lo to bahut achchhā hai
kam hī rah paatā hai dastār kā sar se rishta
hai ġharīboñ kā amīroñ se ta.alluq itnā
jitnā hotā hai charāġhoñ kā sahar se rishta
be-asar jab haiñ zabāneñ to kiyā kyā jaa.e
varna rakhtī haiñ duā.eñ bhī asar se rishta
ham ne rusvā.ī kī us vaqt se chādar oḌhī
jis ghaḌī toḌ diyā thā tire dar se rishta
dil kā rishta bhī agar socho to kyā rishta hai
nibh rahā hai isī rishte ke asar se rishta
justujū us kī ḳhudā jaane hai kis manzil tak
ḳhatm hotā nahīñ 'aḳhtar' kā safar se rishta