nazm ḳhabroñ ko kiyā aur na latīfe likkhe
maiñ ne ash.ār meñ jiine ke salīqe likkhe
martabe ahl-e-suḳhan ke tumheñ tai karne haiñ
kis ne haq baat kahī kis ne qasīde likkhe
sab ko tadbīr bhī karne ko vahī kahtā hai
aur haiñ sab ke muqaddar bhī usī ke likkhe
shiddat-e-mehr se dī us ke ġhazab ko tashbīh
us kī rahmat ko agar fazl ke saa.e likkhe
kuchh zarūr un meñ nasīhat thī magar yaad nahīñ
jo paḌhe the vo buzurgoñ ke maqūle likkhe
zindagī tujh pe likhūñgā na ziyāda ab kuchh
jo bhī mazmūn tirī mad.h meñ likkhe likkhe
likhtā rahtā hai vahī harf-e-ta.alluq 'aḳhtar'
us se kah do ki ab is baat se aage likkhe