Akhtar Hashmi

zindagi se pas lekin husn ke qisse se dur

Akhtar Hashmi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1972
zindagī se paas lekin husn ke qisse se duur
ham ġhazal rakhte haiñ apnī zulf ke saa.e se duur
ham se jin ko unsiyat hai vo khiñche aa jā.eñge
un ko kyā nazdīk laa.eñ jo haiñ ḳhud pahle se duur
jaane kaise karb ubhre mere chehre par ki jo
vo nigāheñ apnī rakhte haiñ mire chehre se duur
ek lamha pyaar kā jis ko mile vo surḳh-rū
kyuuñ mujhe rakkhā gayā phir ik isī lamhe se duur
zabt karnā kitnā mushkil thā mujhe ma.alūm hai
zindagī ko phir bhī rakkhā maiñ ne har fitne se duur
zulm kar ke tū adālat se agar bach bhī gayā
soch bhāgegā kahāñ tak āsmāñ vaale se duur
āḳhirash ashkoñ ke chalte hī duā puurī huī
tum ne aḳhtar jin ko rakkhā aaj tak apne se duur
Top Urdushayar.com