Ashfaq Husain

lamha-e-talKHi-e-guftar talak le aaya

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
lamha-e-talḳhī-e-guftār talak le aayā
vo mujhe apne hī me.aar talak le aayā
kyā rakhe us se koī silsila-e-guft-o-shunīd
ghar kī bātoñ ko jo bāzār talak le aayā
maiñ ne jo baat bharose pe kahī thī us se
vo use surḳhi-e-aḳhbār talak le aayā
ghar meñ jab kuchh na bachā us kī iāñat ke liye
maiñ uThā kar dar-o-dīvār talak le aayā
us kī āñkhoñ meñ ajab sehr thā maiñ jis ke sabab
dil kī bāteñ lab-e-iz.hār talak le aayā
vo jo qaa.il hī na thā merī mohabbat kā use
rafta rafta had-e-iqrār talak le aayā
mere har jhuuT ko duniyā ne sarāhā lekin
ek sach marhala-e-dār talak le aayā
Top Urdushayar.com