Ashfaq Husain

tere pahlu mein tere dil ke qarin rahna hai

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
tere pahlū meñ tire dil ke qarīñ rahnā hai
merī duniyā hai yahī mujh ko yahīñ rahnā hai
kaam jo umr-e-ravāñ kā hai use karne de
merī āñkhoñ meñ sadā tujh ko hasīñ rahnā hai
dil kī jāgīr meñ merā bhī koī hissa rakh
maiñ bhī terā huuñ mujhe bhī to kahīñ rahnā hai
āsmāñ se koī utrā na sahīfa na sahī
tū mirā diiñ hai mujhe sāhib-e-dīñ rahnā hai
jaise sab dekh rahe haiñ mujhe us tarah na dekh
mujh ko āñkhoñ meñ nahīñ dil meñ makīñ rahnā hai
phuul mahkeñge yūñhī chāñd yūñhī chamkegā
tere hote hue manzar ko hasīñ rahnā hai
maiñ tirī saltanat-e-husn kā bāshinda huuñ
mujh ko duniyā meñ kahīñ aur nahīñ rahnā hai
Top Urdushayar.com