dil se na vahī aur haiñ 'manzar' na hamīñ aur
ye vaqt hai jo ham haiñ kahīñ aur vo kahīñ aur
hañs kar nahīñ ab ruuTh ke ik baar nahīñ aur
ġhussa karo ġhussa karo ban jaao hasīñ aur
sab vahm thā duniyā thī falak thā na zamīñ aur
jab ā.īna dekhā to nazar aa.e hamīñ aur hamīñ aur
merā to salām us ko bahār-e-dar-e-jānāñ
tujh se agar achchhī koī jannat hai kahīñ aur
iqrār se inkār ke andāz haiñ dilkash
tum yuuñ hī kahe jaao nahīñ aur nahīñ aur
va.adoñ meñ tire ho rahī hai jitnī bhī tāḳhīr
hotā chalā jaatā hai mujhe utnā yaqīñ aur
mālik mujhe rusvā.ī-e-mahshar se bachā le
denā hoñ jo de le vo sazā.eñ bhī yahīñ aur
TuuTe na magar silsila-e-daur-e-mohabbat
mujh ko na pilāo to piye jaao tumhīñ aur
ai lucknow ke phūlo na 'manzar' ko satāo
ghabrā ke chalā jaa.e na be-chāra kahīñ aur