mohabbat aur mohabbat kā shajar baaqī rahegā
chale jā.eñge ham lekin safar baaqī rahegā
kisī dastak kī kānoñ meñ sadā aatī rahegī
koī naqsh-e-qadam dahlīz par baaqī rahegā
abhī se kyoñ bujhā deñ apne dil kī saarī sham.eñ
sahar hone tak imkān-e-sahar baaqī rahegā
baḌhā aatā hai sail-e-be-yaqīnī har taraf se
to is sailāb meñ kyā merā ghar baaqī rahegā
giregā ek din sar par ye niilā āsmāñ bhī
duāoñ meñ bhalā kab tak asar baaqī rahegā
jo tum chāho to is bartan ko chaknā-chūr kar do
magar phir bhī nishān-e-kūza-gar baaqī rahegā
abhī ye faisla mahfūz hai lauh-e-ufuq par
kaTegī kis kī gardan kis kā sar baaqī rahegā
jise be-maslahat be-ḳhauf ho kar maiñ ne likkhā
vahī bas ek harf-e-mo'tabar baaqī rahegā
milā hai TuuT kar jo muddatoñ ke baad 'ashfāq'
usī se phir bichhaḌ jaane kā Dar baaqī rahegā