mire paañv ke nīche bhī zamīñ hai
mujhe hijrat kā koī dukh nahīñ hai
kabhī nā-āshnā tujhe saare raste
magar har rāsta ab dil-nashīñ hai
kabhī saare hī mausam ajnabī the
magar ab dil meñ har mausam makīñ hai
kabhī merā badan hī thā yahāñ par
magar ab dil kī duniyā bhī yahīñ hai
kabhī har shaam be-manzar yahāñ thī
magar har shaam ab behad hasīñ hai
to kyā maiñ naqsh-e-māzī bhuul baiThā
nahīñ aisā nahīñ aisā nahīñ hai
havā.eñ dost ban jaa.eñ jahāñ par
vahī 'ashfāq' dil kī sar-zamīñ hai