zarā zarā hī sahī āshnā to maiñ bhī huuñ
tumhāre zaḳhm ko pahchāntā to maiñ bhī huuñ
na jaane kaun sī āñkhoñ se dekhte ho mujhe
tumhārī tarah se TuuTā huā to maiñ bhī huuñ
tumhī pe ḳhatm nahīñ mehr-o-māh kī gardish
shikast-e-ḳhvāb kā ik silsila to maiñ bhī huuñ
tumheñ manāne kā mujh ko ḳhayāl kyā aa.e
ki apne aap se rūThā huā to maiñ bhī huuñ
mujhe batā koī tadbīr rut badalne kī
ki maiñ udaas huuñ ye jāntā to maiñ bhī huuñ
talāsh apnī ḳhud apne vajūd ko kho kar
ye kār-e-ishq hai is meñ lagā to maiñ bhī huuñ
rumūz-e-harf na haath aa.e varna ai 'ashfāq'
zamāne bhar se alag sochtā to maiñ bhī huuñ