vo dost hai aur burā nahīñ hai
bas mere mizāj kā nahīñ hai
dil merā bhī kab thā aisā saada
vo aañkh bhī be-ḳhatā nahīñ hai
us shaḳhs ne pher lī hoñ āñkheñ
aisā to kabhī huā nahīñ hai
ik baar mohabbatoñ kā bādal
barsā hai to phir rukā nahīñ hai
ye jaañ se guzartī sā.ateñ haiñ
ye dard kā marhala nahīñ hai
kuchh zaḳhm vahāñ lage haiñ lekin
vo shahr to bevafā nahīñ hai
jo merī talāsh meñ hai ab tak
maiñ huuñ koī dūsrā nahīñ hai
is ahd kī hai ye ik zarūrat
hijrat koī sāneha nahīñ hai