hañgām-e-shab-o-roz meñ uljhā huā kyuuñ huuñ
dariyā huuñ to phir raah meñ Thahrā huā kyuuñ huuñ
kyuuñ merī jaḌeñ jā ke zamīñ se nahīñ miltīñ
gamle kī tarah sahn meñ rakkhā huā kyuuñ huuñ
is ghar ke makīnoñ kā ravayya bhī to dekhūñ
taz.īn-e-dar-o-bām meñ khoyā huā kyuuñ huuñ
girtī nahīñ kyuuñ mujh pe kisī zaḳhm kī shabnam
maiñ qāfila-e-dard se bachhḌā huā kyuuñ huuñ
āñkhoñ pe jo utrā na huā dil pe jo tahrīr
us ḳhvāb kī ta.abīr se sahmā huā kyuuñ huuñ
din bhar ke jhameloñ se bachā laayā thā ḳhud ko
shaam aate hī 'ashfāq' maiñ TuuTā huā kyuuñ huuñ