ḳhayāl-o-ḳhvāb ke dariyā ke paar asar bhī ga.e
jidhar hameñ nahīñ jaanā thā ham udhar bhī ga.e
badan se lipTe rahe be-zamīniyoñ ke azaab
talāsh-e-rizq kī ḳhātir jidhar jidhar bhī ga.e
jo chāhte the sitāroñ se terī maañg bhare
unheñ talāsh na kar ab vo log mar bhī ga.e
ab un kī yādoñ se āñkhoñ ko aur surḳh na kar
vo hādse to zamāna huā guzar bhī ga.e
vo saare ḳhvāb-zada log apne ḳhvāb ke saath
sañvarte rahne ke imkān meñ bikhar bhī ga.e
nazar meñ rañg the ārā.ish-e-makāñ ke magar
havā kuchh aisī chalī ghar ke bām-o-dar bhī ga.e