Ashfaq Husain

girti hai to gir jae ye diwar-e-sukun bhi

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
girtī hai to gir jaa.e ye dīvār-e-sukūñ bhī
jiine ke liye chāhiye thoḌā sā junūñ bhī
ye kaisī anā hai mire andar ki musalsal
dekhūñ use lekin nazar-andāz karūñ bhī
khul kar to vo mujh se kabhī miltā hī nahīñ hai
aur us se bichhaḌ jaane kā imkān hai yuuñ bhī
aisī bhī koī ḳhaas ta.alluq kī fazā ho
mahfil meñ jab us kī na rahūñ aur rahūñ bhī
vo raaz jo bas us kī nigāhoñ ne paḌhā hai
jī chāhtā hai maiñ use hoñToñ se kahūñ bhī
us vaqt kahīñ jā ke ġhazal hogī mukammal
āñkhoñ se Tapak jaa.e jo ik qatra-e-ḳhūñ bhī
Top Urdushayar.com