ḳhvāhish-e-dīvār-o-dar hai apnā ghar hote hue
be-samar haiñ apnī shāḳhoñ par samar hote hue
log saa.e aur shajar se is qadar bezār haiñ
shāḳh ko bhī kāTte haiñ shāḳh par hote hue
ik azāb-e-ḳhauf-e-be-samtī bhī in āñkhoñ meñ hai
apnī manzil aur apnī rahguzar hote hue
jā.egī āḳhir kahāñ vīrān lamhoñ kī ye gard
merā ghar hote hue yā merā sar hote hue
be-sitāra āsmāñ se raushnī kyā māñgte
ik diyā aur ek jugnū haath par hote hue
log ḳhāmoshī se apne sāmne dekhā kiye
mo'atabar bātoñ ko bhī nā-mo'tabar hote hue