Ashfaq Husain

itna be-nafa nahin us se bichhaDna mera

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
itnā be-naf.a nahīñ us se bichhaḌnā merā
anjuman-sāz huā hai dil-e-tanhā merā
sar-nigūñ hone nahīñ detā ye ehsās mujhe
maiñ to TuuTā huuñ magar ḳhvāb na TuuTā merā
kaun haiñ vo jinheñ āfāq kī vus.at kam hai
ye samundar na ye dariyā na ye sahrā merā
ek hī lamha-e-maujūd meñ maujūd huuñ maiñ
aur ik lamhe kā honā hai na honā merā
dil meñ sau tiir tarāzū hue tab jā ke khulā
is qadar sahl na thā jaañ se guzarnā merā
kaise tarsīl-e-suḳhan kī koī sūrat nikle
ye zabāñ merī nahīñ hai na ye lahja merā
maiñ abhī sair-e-jahāñ-bīnī meñ gum huuñ 'ashfāq'
āsmāñ dekh rahā hai abhī rasta merā
Top Urdushayar.com