kisī galī kisī chhat par zarūr niklegā
vo chāñd abr se bāhar zarūr niklegā
ye hukmarāni-e-shab der tak nahīñ hogī
kahīñ se mehr-e-munavvar zarūr niklegā
isī girānī-e-shab kī dabīz chādar se
numūd-e-sub.h kā manzar zarūr niklegā
ḳhud apne aap se laḌnī paḌegī jañg hameñ
diloñ se ḳhauf kā lashkar zarūr niklegā
ye shahr-e-shīshagarāñ hai to phir yahīñ pe kahīñ
kisī kī jeb se patthar zarūr niklegā
ġhubār-e-dil-zadagāñ ko bahut haqīr na jaan
ye ek hashr uThā kar zarūr niklegā
use ḳhayāl-e-dil-e-dostāñ agar aayā
to āñsuoñ kā samundar zarūr niklegā
kuredte raho vīrān bastiyoñ kī ye raakh
yahīñ kahīñ pe mirā ghar zarūr niklegā
ḳhamoshiyoñ kī isī sar-zamīn se 'ashfāq'
koī na koī suḳhnavar zarūr niklegā