us se jī bhar ke milī dād-e-tamannā mujh ko
jis ne tasvīr tirī dekh ke dekhā mujh ko
dekhne vaale ye kis shaan se dekhā mujh ko
aaj duniyā ke maze de ga.ī duniyā mujh ko
jazb-e-dil tere karishmoñ ne ulaT dī duniyā
ab sunāte haiñ vo ḳhud merā fasānā mujh ko
be-tahāshā tirī tasvīr pe jaatī hai nigāh
jab koī kahtā hai taqdīr kā maarā mujh ko
ek dhaj ālam-e-vahshat meñ badaltā huuñ roz
chāhtā huuñ ki kaheñ log tumhārā mujh ko
ghar ko chhoḌā hai ḳhudā jaane kahāñ jaane ko
ab samajh lījiye TuuTā huā taarā mujh ko
dil lahū kar gayā āġhāz-e-mohabbat 'manzar'
aur abhī dekhnā baaqī hai natīja mujh ko