us aañkh na us dil se nikāle hue ham haiñ
yuuñ hai ki zarā ḳhud ko sambhāle hue ham haiñ
is bazm meñ ik jashn-e-charāġhāñ hai unhī se
kuchh ḳhvāb jo palkoñ pe ujāle hue ham haiñ
kuchh aur chamaktā hai ye dil jaisā sitārā
kin dard kī lahroñ ke havāle hue ham haiñ
dil hai ki koī faisla kar hī nahīñ paatā
ik mauj-e-tazabzub ke uchhāle hue ham haiñ
vo ho na sakā apnā to ham ho ga.e us ke
us shaḳhs kī marzī hī meñ Dhāle hue ham haiñ
is mamlikat-e-lafz-o-bayāñ meñ bhī to 'ashfāq'
ik raah alag apnī nikāle hue ham haiñ