Ashfaq Husain

bahta hua dariya hun kahin par tha kahin hun

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
bahtā huā dariyā huuñ kahīñ par thā kahīñ huuñ
maiñ lamha-e-maujūd kā pāband nahīñ huuñ
vābasta huuñ ik silsila-e-ishq se lekin
maiñ chāk-e-garebāñ huuñ na maiñ ḳhāk-nashīñ huuñ
ai dil-zadagānoñ ke masīhā mujhe batlāo
kyā maiñ tirī fihrist-e-dil-o-jāñ meñ kahīñ huuñ
maḳhsūs hai jo sirf tire husn-e-nazar se
us aañkh se dekhe koī mujh ko to hasīñ huuñ
dildār nigāhoñ ke ishāroñ se balā le
maiñ terī pahuñch se abhī bāhar bhī nahīñ huuñ
hai ab bhī vahī dil ke dhaḌakne kī kahānī
tū mujh ko jahāñ chhoḌ gayā thā maiñ vahīñ huuñ
Top Urdushayar.com