Ashfaq Husain

mohabbat kis se kab ho jae andaza nahin hota

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
mohabbat kis se kab ho jaa.e andāza nahīñ hotā
ye vo ghar hai ki jis kā koī darvāza nahīñ hotā
diloñ ko dard kī tahzīb se ābād rakhtī hai
mohabbat meñ kisī ko koī ḳhamyāza nahīñ hotā
kahīñ koī na koī ik kamī baaqī hī rahtī hai
mukammal zindagī kā koī shīrāza nahīñ hotā
ajab begāngī-o-nā-shanāsā.ī kā aalam hai
tirī galiyoñ meñ bhī ab mujh pe āvāza nahīñ hotā
hamesha hī yahāñ ik ābshār-e-dard bahtā hai
ki dil kī mumlikat meñ koī ġham taaza nahīñ hotā
kisī mahbūb lamhe meñ kisī vīrān raste par
koī kab yaad aa jaa.e ye andāza nahīñ hotā
bahut kuchh dil meñ hotā hai magar 'ashfāq' chehre par
kisī kī yaad kā bikhrā huā ġhāza nahīñ hotā
Top Urdushayar.com