abhī is fikr se niklā nahīñ huuñ
maiñ kyā huuñ aur āḳhir kyā nahīñ huuñ
mujhe tum mere mausam hī meñ paḌhnā
nisāb-e-nasl-e-ā.inda nahīñ huuñ
vafādārī kināroñ se jo badle
maiñ dariyāoñ kā vo rasta nahīñ huuñ
jo dil kī dhaḌkanoñ kī ham-navā hai
usī āvāz par palTā nahīñ huuñ
bahut se mas.ale haiñ zindagī meñ
magar tujh ko to maiñ bhūlā nahīñ huuñ
maiñ terī dastaras meñ to nahīñ thā
tire imkān meñ bhī kyā nahīñ huuñ
bahut sochā tire nazdīk aa kar
maiñ tere paas huuñ bhī yā nahīñ huuñ
jo duniyā tujh se vāqif hī nahīñ hai
maiñ us duniyā kā bāshinda nahīñ huuñ