Ashfaq Husain

shisha-e-dil mein tere waste baal aaya kyun

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
shīsha-e-dil meñ tire vāste baal aayā kyuuñ
ye mujhe tujh se na milne kā ḳhayāl aayā kyuuñ
maiñ to ḳhush thā ki tirā maan rakhā hai maiñ ne
tere chehre pe magar aks-e-malāl aayā kyuuñ
aur bhī ġham the magar ek nayā ġham ye hai
maiñ tire sāmne yuuñ ġham se niDhāl aayā kyuuñ
kaise is dil ko mire chain milā avval-e-shab
dard kī surma.ī shāmoñ pe zavāl aayā kyuuñ
sirf ik kār-e-mohabbat thā jo karnā thā mujhe
apne zimme ka.ī kaam aur nikāl aayā kyuuñ
ik sitāra mirī dahlīz pe TuuTā kaise
ik samundar ko mire dar pe ubaal aayā kyuuñ
us kī ma.asūm nigāhoñ meñ na thā jis kā javāb
mere hoñToñ pe vahī harf-e-savāl aayā kyuuñ
Top Urdushayar.com