Ashfaq Husain

sukun-e-dil ki KHatir ek sahaara DhunDte hain

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
sukūn-e-dil kī ḳhātir ik sahārā DhūñDte haiñ
jo gardish meñ nahīñ hai vo sitārā DhūñDte haiñ
abhī to tujh se vābasta haiñ pichhle zaḳhm saare
shab-e-rafta tujhe ham kyuuñ dobārā DhūñDte haiñ
koī ghar hī nahīñ to be-gharī kā zaḳhm kaisā
sukūnat ke liye ik isti.ārā DhūñDte haiñ
zamīñ achchhī lagī hai āsmāñ par jā ke ham ko
kahāñ hai is zamīñ par ghar hamārā DhūñDte haiñ
ye dariyā zindagī kā paar kaise ho ki jab ham
kināre par khaḌe haiñ aur kināra DhūñDte haiñ
hamārī ḳhvāhish-e-be-ḳhvāhishī jo raakh kar de
ham apnī shaḳhsiyat meñ vo sharāra DhūñDte haiñ
kisī mahtāb ko qadmoñ meñ le aane se pahle
ham un āñkhoñ kā halkā sā ishāra DhūñDte haiñ
Top Urdushayar.com