kuchh nahīñ hone ke idrāk se Dartā kyuuñ hai
ḳhaak honā hai to phir ḳhaak se Dartā kyuuñ hai
jab kisī dast-e-zuleḳhā se ta.alluq hī nahīñ
apne dāman ke kisī chaak se Dartā kyuuñ hai
aise mausam meñ to har shāḳh pe phuul aate haiñ
āḳhir is mausam-e-namnāk se Dartā kyuuñ hai
kal sitāroñ ko bhī ḳhātir meñ nahīñ laatā thā
aaj sail-e-ḳhas-o-ḳhāshāk se Dartā kyuuñ hai
reshmī lafz-o-bayāñ se suḳhan-ārā.ī kar
apnī udhḌī huī poshāk se Dartā kyuuñ hai
vo ḳhud apne hī kisī jaal meñ phañs jā.egā
hausla rakh kisī chālāk se Dartā kyuuñ hai
ye to bas ik ravish-e-ḳhās pe kartī hai safar
aadmī gardish-e-aflāk se Dartā kyuuñ hai