na.ī duniyā na.e manzar na.e afkār mile
sab shajar naql-e-makānī ke samar-bār mile
bād-e-hijrat tū hameñ le ke jahāñ aa.ī hai
in galī-kūchoñ meñ insānoñ ke shahkār mile
ḳhūbsūrat se kisī baar ke ik goshe meñ
dil kī tanhā.ī miTāne ko ka.ī yaar mile
kahīñ kho jaane kā dukh ek haqīqat hī sahī
apnī pahchān ke bhī nit-na.e āsār mile
kab talak sar pe virāsat kī ridā le ke chaleñ
kyuuñ na ab ham ko koī sāya-e-dīvār mile