kahīñ bhī jā ke baserā kareñ udhar hī ke haiñ
hamāre saare havāle hamāre ghar hī ke haiñ
hamārī saañs talak hī hamārā virsa hai
hamāre ḳhvāb bhī āñkhoñ meñ raat bhar hī ke haiñ
maiñ in se TuuT ke kartā huuñ pyaar kyuuñ na karūñ
ye saare phuul ye patte mire shajar hī ke haiñ
vo jis ko chāhe banā de kalām-e-fan kī misāl
tamām mo.ajize us dast-e-kūza-gar hī ke haiñ
tirī nazar se tire dil tak aane jaane meñ
jo fāsle haiñ vo lagtā hai umr bhar hī ke haiñ
karūñ to kaise karūñ maiñ tirī galī meñ qayām
mire to jo bhī sitāre haiñ vo safar hī ke haiñ