soch kī mauj-e-ravāñ le ke kidhar aa.ī hai
ye samundar kā kināra hai ki gahrā.ī hai
kaun hai jis ne hilā Daalā mirā saarā vajūd
merī āvāz kis āvāz se Takrā.ī hai
shohrateñ had se guzar jaa.eñ to ye dhyān rahe
mausam-e-nāmvarī mausam-e-rusvā.ī hai
apne atrāf bahut bhiiḌ ke hote hue bhī
maiñ jahāñ huuñ vahāñ tanhā.ī hī tanhā.ī hai
us ke phaldār daraḳhtoñ pe na patthar pheñko
ye mire ghar kī nahīñ dard kī añgnā.ī hai
vo jo chup-chāp hai us ko nazar-andāz na kar
ḳhāmushī asl meñ sarmāya-e-dānā.ī hai