Ashfaq Husain

diye jo kar diye gul ahd-e-shab mein rahte hue

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
diye jo kar diye gul ahd-e-shab meñ rahte hue
ye ehtijāj thā hadd-e-adab meñ rahte hue
har ek baat pe ashk har na.ī sahar se gurez
baras guzar ga.e kyuuñ aur kab meñ rahte hue
vo log kaun the kis āb-o-gil kā paikar the
jo phuul jaise the dasht-e-ġhazab meñ rahte hue
guzishtagān-e-mohabbat se kuchh hunar le kar
judā sabhī se rahe aur sab meñ rahte hue
kabhī jo yaad mujhe aa gayā mirā bachpan
to aañkh nam huī bazm-e-tarab meñ rahte hue
maiñ apnī zaat kī pahchān tak gañvā baiThā
ḳhayāl-e-izzat-e-nām-o-nasab meñ rahte hue
hadīs-e-dil bhī to maiñ likh nahīñ sakā 'ashfāq'
hujūm-e-halqa-e-sher-o-adab meñ rahte hue
Top Urdushayar.com