Manzar Lakhnavi

anjam-e-mohabbat se main begana nahin hun

Manzar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

-1965
anjām-e-mohabbat se maiñ begāna nahīñ huuñ
dīvāna banā phirtā huuñ dīvāna nahīñ huuñ
dam bhar meñ jo ho ḳhatm vo afsāna nahīñ huuñ
insān huuñ insān maiñ parvāna nahīñ huuñ
saaqī tirī āñkhoñ ko salāmat rakkhe allāh
ab tak to maiñ sharminda-e-paimāna nahīñ huuñ
ho baar na ḳhātir pe to nāseh kahūñ ik baat
samjhā leñ jise aap vo dīvāna nahīñ huuñ
barbādiyoñ kā ġham nahīñ ġham hai to ye ġham hai
miT kar bhī maiñ ḳhāk-e-dar-e-jānāna nahīñ huuñ
tauba tire dāman pe junūñ-ḳhez nigāheñ
huuñ to magar ab itnā bhī dīvāna nahīñ huuñ
sab kuchh mire saaqī ne diyā hai mujhe 'manzar'
mohtāj-e-mai-o-shīsha-o-paimāna nahīñ huuñ
Top Urdushayar.com