Ashfaq Husain

wo tanha tha to phir tanhai ka dam-saz hona tha

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
vo tanhā thā to phir tanhā.ī kā dam-sāz honā thā
un āñkhoñ ke liye mujh ko sitāra-sāz honā thā
sabhī ḳhāmosh the āvāz par us kī so aise meñ
mujhe chup to nahīñ rahnā thā ham-āvāz honā thā
jo dil meñ thā vo ik vīrān gumbad hī meñ kah detā
ye merā ahd thā mujh ko asar-andāz honā thā
mire lab par zamāne kī shikāyat kis liye aa.ī
agar ye shor thā to us ko be-āvāz honā thā
na jaane mujh se kitne log the jo sochte ye the
ki in se ik na.ī tārīḳh kā āġhāz honā thā
jahāñ zaḳhmī tamannāoñ kī sarhad ḳhatm hotī thī
vahāñ se ik na.ī ummīd kā āġhāz honā thā
ye kār-e-ishq thā 'ashfāq' mujh se ho nahīñ paayā
mujhe bhī shā.irī meñ sāhib-e-ejāz honā thā
Top Urdushayar.com