Ashfaq Husain

na-mehrban hai tu to koi mehrban bhi hai

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
nā-mehrbāñ hai tū to koī mehrbāñ bhī hai
hai jis jagah zamīn vahāñ āsmāñ bhī hai
tabdīl kar ke dekh nigāhoñ ke zāviye
jo terī aañkh meñ hai vo manzar yahāñ bhī hai
yuuñ hī to rābtoñ meñ nahīñ hai khiñchāv sā
ham hī nahīñ haiñ aur koī darmiyāñ bhī hai
mil hī gayā hai jab to mohabbat se baat kar
varna ye dhyān rakh mire muñh meñ zabāñ bhī hai
us raat ke idhar bhī hai ik sub.h kā vajūd
merā yaqīn bhī hai ye merā gumāñ bhī hai
merī ġhazal meñ sirf ġhazal kī fazā nahīñ
lafzoñ kī kā.enāt meñ dil kī zabāñ bhī hai
Top Urdushayar.com