Ashfaq Husain

kaha kis ne musalsal kaam karne ke liye hai

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
kahā kis ne musalsal kaam karne ke liye hai
ye duniyā asl meñ ārām karne ke liye hai
mohabbat aur phir aisī mohabbat jo hai tujh se
chhupā.eñ kyuuñ ye ḳhushbū aam karne ke liye hai
karegā kaun tujh ko terī be-mehrī kā qaa.il
yahāñ jo bhī hai tujh ko raam karne ke liye hai
ye kār-e-ishq meñ uljhī huī be-nām duniyā
haqīqat meñ numūd o naam karne ke liye hai
bahut chhoTā sā dil aur is meñ ik chhoTī sī ḳhvāhish
so ye ḳhvāhish bhī ab nīlām karne ke liye hai
ġhazal kahnī phir us meñ apne dil kī baat kahnī
yahī kaafī hameñ badnām karne ke liye hai
bahut din rah chuke nām-āvaroñ ke biich 'ashfāq'
ab apnā naam bas gumnām karne ke liye hai
Top Urdushayar.com