Ashfaq Husain

jab se apne ghar ke baam-o-dar se nikle hain

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
jab se apne ghar ke bām-o-dar se nikle haiñ
kaise kaise manzar pas-manzar se nikle haiñ
narm zamīñ aur paanī ke muhtāj nahīñ haiñ ham
ham to vo koñpal haiñ jo patthar se nikle haiñ
koī to apne jaisā apne andar hai maujūd
apnī zaat ke bāhar kis ke Dar se nikle haiñ
shor kī chādar ke pīchhe hai ḳhāmoshī kā raqs
sannāTe āvāzoñ ke paikar se nikle haiñ
kis se jañg laḌeñge kis ko fat.h kareñge ham
dushman ke hathiyār ḳhud apne ghar se nikle haiñ
nā-mānūs fazāoñ ko 'ashfāq' na do ilzām
ḳhauf ke jo bhī raste haiñ andar se nikle haiñ
Top Urdushayar.com