Ashfaq Husain

usi zamin usi aasman ke sath rahe

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
usī zamīn usī āsmāñ ke saath rahe
jahāñ ke the hī nahīñ us jahāñ ke saath rahe
na.ī zamīñ pe khilāte rahe shanāḳht ke phuul
jahāñ rahe vahāñ apnī zabāñ ke saath rahe
sajā ke nok-e-palak tak virāsatoñ kā jamāl
saqāfat-e-vatan-e-mezbāñ ke saath rahe
ham apne lamha-e-maujūd ke havāloñ se
ġhubār-e-qāfila-e-raftagāñ ke saath rahe
tarāshtī rahī mauj-e-havā-e-vaqt hameñ
chaTān the magar āb-e-ravāñ ke saath rahe
kisī shikasta kināre se rabt hī na rakhā
samundaroñ meñ khule bādbāñ ke saath rahe
badan pe jamne na dī ham ne gard-e-tanhā.ī
ḳhayāl-e-anjuman-e-dostāñ ke saath rahe
bas is ḳhayāl se kuchh is meñ terā zikr bhī thā
sunī-sunā.ī huī dāstāñ ke saath rahe
Top Urdushayar.com