Ashfaq Husain

yahin kahin koi aawaz de raha tha mujhe

Ashfaq Husain

Karachi, Sindh, Pakistan

1951
yahīñ kahīñ koī āvāz de rahā thā mujhe
chalā to saat samundar kā sāmnā thā mujhe
maiñ apnī pyaas meñ khoyā rahā ḳhabar na huī
qadam qadam pe vo dariyā pukārtā thā mujhe
zamāne baad un āñkhoñ meñ ik savāl sā thā
ki ek baar palaT kar to dekhnā thā mujhe
ye paañv ruk ga.e kyuuñ be-nishān manzil par
yahāñ se ik nayā rasta nikālnā thā mujhe
ye zindagī jo tire naam se ibārat thī
ise kuchh aur banānā sañvārnā thā mujhe
rafīq-e-gardish-e-sayyārgāñ se pūchhūñgā
vo kaun thā jo ḳhalāoñ meñ DhūñDtā thā mujhe
tamām tark-e-marāsim ke bāvajūd 'ashfāq'
vo zer-e-lab hī sahī gungunā rahā thā mujhe
Top Urdushayar.com