tamām rishte usī shāḳh-e-be-samar se haiñ
talāsh unhī ko hai ghar kī jo nikle ghar se haiñ
shanāḳht kī ye kahānī bas ek nasl kī hai
phir is ke ba.ad fasāne idhar udhar se haiñ
abhī ḳhabar nahīñ nau-vāridān-e-hijrat ko
kahāñ se uTThe haiñ bādal kahāñ pe barse haiñ
qadam uThe nahīñ ma.alūm manziloñ kī taraf
magar udaas ham andesha-e-safar se haiñ
bas aañkh khulte hī tābīr-e-ḳhvāb mil jaa.e
ye kis tarah ke taqāze hameñ sahar se haiñ
nigāh rakhte haiñ sayyārgāñ kī nabz pe ham
aur apne chāroñ taraf kitne be-ḳhabar se haiñ